ajnabi shahr mein pahunchun to shanasa dekhun
ajnabī shahr meñ pahuñchūñ to shanāsā dekhūñ
dūsrā koī nahīñ bas tirā chehra dekhūñ
har taraf ek sā manzar nazar aatā hai mujhe
dasht-o-sahrā kī taraf jā.ūñ ki dariyā dekhūñ
apne chehre kī bhī pahchān hai mushkil ab to
aa.ina le ke jo dekhūñ to bhalā kyā dekhūñ
ghar kī raunaq to uThā le gayā jaane vaalā
kyoñ na bikhre hue lamhoñ kā asāsa dekhūñ
mere andar bhī sulagte hue lamhoñ kī sadā
tere chehre pe bhī bahtā huā dariyā dekhūñ
dil ye kahtā hai kisī roz tū aa.egā zarūr
yahī behtar hai tirā baiTh ke rasta dekhūñ
mujh ko har sher tirī yaad dilā.e 'ḳhālid'
apnī ġhazloñ meñ tire dard kā qissa dekhūñ
ajnabi shahr mein pahunchun to shanasa dekhun
dusra koi nahin bas tera chehra dekhun
har taraf ek sa manzar nazar aata hai mujhe
dasht-o-sahra ki taraf jaun ki dariya dekhun
apne chehre ki bhi pahchan hai mushkil ab to
aaina le ke jo dekhun to bhala kya dekhun
ghar ki raunaq to uTha le gaya jaane wala
kyon na bikhre hue lamhon ka asasa dekhun
mere andar bhi sulagte hue lamhon ki sada
tere chehre pe bhi bahta hua dariya dekhun
dil ye kahta hai kisi roz tu aaega zarur
yahi behtar hai tera baiTh ke rasta dekhun
mujh ko har sher teri yaad dilae 'KHalid'
apni ghazlon mein tere dard ka qissa dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.