ajnabi Thahra alag Thahra hun tanha Thahra
ajnabī Thahrā alag Thahrā huuñ tanhā Thahrā
maiñ zabāñ rakh ke bhī is shahr meñ gūñgā Thahrā
aap kī bazm meñ jaanā na kisī ne mujh ko
yuuñ to kahne ko har ik fard shanāsā Thahrā
kis ko mā'lūm ki kab phūñk de ye dāman-e-dil
ashk hai yā koī palkoñ pe hai sho'la Thahrā
mujh se milte hī nahīñ husn kī daulat vaale
maiñ hasīnoñ kī nigāhoñ meñ luTerā Thahrā
ab ke sailāb meñ har gaañv huā hai ġharqāb
merā mahfūz ye kāġhaz kā gharauñdā Thahrā
jism kā mere badaltā huā mausam 'afsar'
jaise maiñ shāḳh kā TuuTā huā patta Thahrā
ajnabi Thahra alag Thahra hun tanha Thahra
main zaban rakh ke bhi is shahr mein gunga Thahra
aap ki bazm mein jaana na kisi ne mujh ko
yun to kahne ko har ek fard shanasa Thahra
kis ko ma'lum ki kab phunk de ye daman-e-dil
ashk hai ya koi palkon pe hai sho'la Thahra
mujh se milte hi nahin husn ki daulat wale
main hasinon ki nigahon mein luTera Thahra
ab ke sailab mein har ganw hua hai gharqab
mera mahfuz ye kaghaz ka gharaunda Thahra
jism ka mere badalta hua mausam 'afsar'
jaise main shaKH ka TuTa hua patta Thahra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.