ajnabi Thahre chalo tum yun magar kis waste
ajnabī Thahre chalo tum yuuñ magar kis vāste
baat mausam kī sahī par muḳhtasar kis vāste
kyā tumhāre shahr meñ bas ek mujrim haiñ hamīñ
is qadar ilzām aa.e apne sar kis vāste
ab to lahroñ se shanāsā.ī rahegī 'umr bhar
likh gayā vo naam merā ret par kis vāste
ab khulā hai ḳhud se baḌh kar koī sachchā.ī nahīñ
muddatoñ ḳhud se rahe ham be-ḳhabar kis vāste
kyā ḳhabar thī ūñghte zehnoñ ko jo chauñkā ga.ī
lag rahī hai bhiiḌ sī har chauk par kis vāste
mere paas aa.eñ to 'arshī' chuum kar rakh luuñ unheñ
ḳhushk patte uḌ rahe haiñ dar-ba-dar kis vāste
ajnabi Thahre chalo tum yun magar kis waste
baat mausam ki sahi par muKHtasar kis waste
kya tumhaare shahr mein bas ek mujrim hain hamin
is qadar ilzam aae apne sar kis waste
ab to lahron se shanasai rahegi 'umr bhar
likh gaya wo nam mera ret par kis waste
ab khula hai KHud se baDh kar koi sachchai nahin
muddaton KHud se rahe hum be-KHabar kis waste
kya KHabar thi unghte zehnon ko jo chaunka gai
lag rahi hai bhiD si har chauk par kis waste
mere pas aaen to 'arshi' chum kar rakh lun unhen
KHushk patte uD rahe hain dar-ba-dar kis waste
- Book : siip (Magzin) (Pg. 271)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau (39 (Quarterly) )
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.