ajnabi tujh mein aa kar basa kaun hai
ajnabī tujh meñ aa kar basā kaun hai
ai dhaḌakte hue dil batā kaun hai
DhūñDne ḳhud ko maiñ ḳhud ke andar gayā
aur dekho mujhe ye milā kaun hai
kis kī ruḳhsat ne bīnā.ī le lī mirī
merī āñkhoñ se ojhal huā kaun hai
jo bhī miltā hai jaatā hai vo chhoḌ kar
jaane qismat meñ likkhā huā kaun hai
apnā sar phoḌtā na to kartā bhī kyā
mujh se pūchhā gayā thā tirā kaun hai
tū bhī ḳhush hai vahāñ maiñ bhī ḳhush huuñ yahāñ
apne donoñ meñ phir bevafā kaun hai
'umr ikkīs aur itne vahshat-zada
chhoḌ kar tum ko 'shāfī' gayā kaun hai
ajnabi tujh mein aa kar basa kaun hai
ai dhaDakte hue dil bata kaun hai
DhunDne KHud ko main KHud ke andar gaya
aur dekho mujhe ye mila kaun hai
kis ki ruKHsat ne binai le li meri
meri aankhon se ojhal hua kaun hai
jo bhi milta hai jata hai wo chhoD kar
jaane qismat mein likkha hua kaun hai
apna sar phoDta na to karta bhi kya
mujh se puchha gaya tha tera kaun hai
tu bhi KHush hai wahan main bhi KHush hun yahan
apne donon mein phir bewafa kaun hai
'umr ikkis aur itne wahshat-zada
chhoD kar tum ko 'shafi' gaya kaun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.