aksar apne dar-pae-azar ho jate hain hum
aksar apne dar-pa.e-āzār ho jaate haiñ ham
sochte haiñ is qadar bīmār ho jaate haiñ ham
muztarib Thahre so shab meñ der se aatī hai niiñd
sub.h se pahle magar bedār ho jaate haiñ ham
naam kī ḳhvāhish hameñ kartī hai sargarm-e-amal
is amal se bhī magar bezār ho jaate haiñ ham
jhūTā vā'da bhī agar kartī hai malne kā ḳhushī
vaqt se pahle bahut tayyār ho jaate haiñ ham
bhuul kar vo baḳhsh de gar raushnī kī ik kiran
dā.imī shohrat ke da.avedār ho jaate haiñ ham
mutma.in honā bhī apne be-ḳhabar hone se hai
be-sukūñ hote haiñ jab hushiyār ho jaate haiñ ham
ik zarā sī baat aur phir ashk thamte hī nahīñ
lahr sī ik dil meñ aur sarshār ho jaate haiñ ham
aksar apne dar-pae-azar ho jate hain hum
sochte hain is qadar bimar ho jate hain hum
muztarib Thahre so shab mein der se aati hai nind
subh se pahle magar bedar ho jate hain hum
nam ki KHwahish hamein karti hai sargarm-e-amal
is amal se bhi magar bezar ho jate hain hum
jhuTa wa'da bhi agar karti hai malne ka KHushi
waqt se pahle bahut tayyar ho jate hain hum
bhul kar wo baKHsh de gar raushni ki ek kiran
daimi shohrat ke dawedar ho jate hain hum
mutmain hona bhi apne be-KHabar hone se hai
be-sukun hote hain jab hushiyar ho jate hain hum
ek zara si baat aur phir ashk thamte hi nahin
lahr si ek dil mein aur sarshaar ho jate hain hum
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 22.07.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.