akela ghar hai kyon rahte ho kya deti hain diwaren
akelā ghar hai kyoñ rahte ho kyā detī haiñ dīvāreñ
yahāñ to hañsne vāloñ ko rulā detī haiñ dīvāreñ
inheñ bhī apnī tanhā.ī kā jab ehsās hotā hai
to gahrī niiñd se mujh ko jagā detī haiñ dīvāreñ
bujhe maazī kā khilte haal se rishta ajab dekhā
khañDar ḳhāmosh haiñ lekin sadā detī haiñ dīvāreñ
havā ke zaḳhm sah kar bārishoñ kī choT khā khā kar
chhatoñ ko rauzanoñ ko aasrā detī haiñ dīvāreñ
rahūñ ghar meñ to mere sar pe chādar taan detī haiñ
safar par jab nikaltā huuñ duā detī haiñ dīvāreñ
jo chalnā hī na chāhe rok lete haiñ use zarre
bagūloñ ko safar meñ rāsta detī haiñ dīvāreñ
vo saarī guftugū jo band kamroñ hī meñ hotī hai
maiñ jab bāhar se aatā huuñ sunā detī haiñ dīvāreñ
utartī aur chaḌhtī dhuup kī pahchān hai in ko
abhī din kitnā baaqī hai batā detī haiñ dīvāreñ
'matīn' is chilchilātī dhuup meñ saaya inhī se hai
maiñ jab bhī TūTtā huuñ hausla detī haiñ dīvāreñ
akela ghar hai kyon rahte ho kya deti hain diwaren
yahan to hansne walon ko rula deti hain diwaren
inhen bhi apni tanhai ka jab ehsas hota hai
to gahri nind se mujh ko jaga deti hain diwaren
bujhe mazi ka khilte haal se rishta ajab dekha
khanDar KHamosh hain lekin sada deti hain diwaren
hawa ke zaKHm sah kar barishon ki choT kha kha kar
chhaton ko rauzanon ko aasra deti hain diwaren
rahun ghar mein to mere sar pe chadar tan deti hain
safar par jab nikalta hun dua deti hain diwaren
jo chalna hi na chahe rok lete hain use zarre
bagulon ko safar mein rasta deti hain diwaren
wo sari guftugu jo band kamron hi mein hoti hai
main jab bahar se aata hun suna deti hain diwaren
utarti aur chaDhti dhup ki pahchan hai in ko
abhi din kitna baqi hai bata deti hain diwaren
'matin' is chilchilati dhup mein saya inhi se hai
main jab bhi TuTta hun hausla deti hain diwaren
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.