akela jo raha har dam kisi ka ho nahin sakta
akelā jo rahā har dam kisī kā ho nahīñ saktā
bhale ho mustaqil gardish magar vo ro nahīñ saktā
hasīn itnī hai tū zauq-e-nazar to ban gayā huuñ maiñ
magar dil kī kiyārī meñ nayā kuchh bo nahīñ saktā
sañbhal jā dil ye kyā sapne bune jaatā hai tū din-rāt
milegā kyā tujhe vo soch kar jo ho nahīñ saktā
maiñ apnī be-qarārī kā tujhe 'ālam batā.ūñ kyā
badaltā huuñ maiñ karvaT rāt-bhar ab so nahīñ saktā
kahā jo krishn ne giitā meñ rakkhegā agar tū yaad
bhale jitnā ghanā jangal ho par tū kho nahīñ saktā
akela jo raha har dam kisi ka ho nahin sakta
bhale ho mustaqil gardish magar wo ro nahin sakta
hasin itni hai tu zauq-e-nazar to ban gaya hun main
magar dil ki kiyari mein naya kuchh bo nahin sakta
sanbhal ja dil ye kya sapne bune jata hai tu din-raat
milega kya tujhe wo soch kar jo ho nahin sakta
main apni be-qarari ka tujhe 'alam bataun kya
badalta hun main karwaT raat-bhar ab so nahin sakta
kaha jo krishn ne gita mein rakkhega agar tu yaad
bhale jitna ghana jangal ho par tu kho nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.