akele ko bhi aati hai hansi kya
akele ko bhī aatī hai hañsī kyā
kisī kī yaad ne kī gudgudī kyā
nazar aane lage har haal meñ tum
hameñ ab kyā añdherā raushnī kyā
ye kam-kam rābta bhī ḳhatm samjhūñ
yahī hai aap kā ḳhat āḳhirī kyā
bane jab tak na sāñsoñ kā tavāzun
nachā.ūñ uñgliyoñ par bāñsurī kyā
vakālat terā pesha hai to 'bādal'
karegā jhuuT kī bhī pairvī kyā
akele ko bhi aati hai hansi kya
kisi ki yaad ne ki gudgudi kya
nazar aane lage har haal mein tum
hamein ab kya andhera raushni kya
ye kam-kam rabta bhi KHatm samjhun
yahi hai aap ka KHat aaKHiri kya
bane jab tak na sanson ka tawazun
nachaun ungliyon par bansuri kya
wakalat tera pesha hai to 'baadal'
karega jhuT ki bhi pairwi kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.