akele-pan ki aziyyat se ru-shanas rahe
akele-pan kī aziyyat se rū-shanās rahe
asiir log hamesha hī bad-havās rahe
vo ḳhud mile na mile par talab to ho us kī
kuaañ rahe na rahe par hamārī pyaas rahe
kisī ke vāste qatra sharāb bhī na rahī
kisī ke vāste ashkoñ-bhare gilās rahe
vo chāhtā hai bichhaḌ kar bhī ḳhush dikhā.ī duuñ
vo chāhtā hai ki murda badan pe maas rahe
kisī bhī dil se koī rahguzar na ho ya.anī
har ek ghar ke darīche meñ sabz ghaas rahe
ab is se baḌh ke bhalā iztirāb kyā hogā
ki shaan piir ko sun ke bhī dil udaas rahe
kisān haiñ so dupaTToñ kī ḳhair māñgte haiñ
ki un ke sadqe zamīnoñ meñ kuchh kapās rahe
ġhazal kā kyā hai tavā.if ye phir sunā lenā
sharāb lā ki yahīñ par ye devdās rahe
ham us ke dil meñ mohabbat nahīñ jagā paa.e
mazīd kaise batā.eñ ki kitne ḳhaas rahe
akele-pan ki aziyyat se ru-shanas rahe
asir log hamesha hi bad-hawas rahe
wo KHud mile na mile par talab to ho us ki
kuan rahe na rahe par hamari pyas rahe
kisi ke waste qatra sharab bhi na rahi
kisi ke waste ashkon-bhare gilas rahe
wo chahta hai bichhaD kar bhi KHush dikhai dun
wo chahta hai ki murda badan pe mas rahe
kisi bhi dil se koi rahguzar na ho yani
har ek ghar ke dariche mein sabz ghas rahe
ab is se baDh ke bhala iztirab kya hoga
ki shan pir ko sun ke bhi dil udas rahe
kisan hain so dupaTTon ki KHair mangte hain
ki un ke sadqe zaminon mein kuchh kapas rahe
ghazal ka kya hai tawaif ye phir suna lena
sharab la ki yahin par ye dewdas rahe
hum us ke dil mein mohabbat nahin jaga pae
mazid kaise bataen ki kitne KHas rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.