akeli raat thi chaaron taraf andhera tha
akelī raat thī chāroñ taraf añdherā thā
aur ek peḌ se merā hī haath niklā thā
ajiib dhun thī ki baḌhte hī jā rahe the qadam
har ik taraf se mujhe āñdhiy.oñ ne gherā thā
nazar to aa.e the ham ko bhī paañv uThte hue
phir is ke baad bahut duur tak añdherā thā
bikhar rahe the añdhere hamāre sar pe magar
ufuq se tā-ba-ufuq chāñdnī kā Derā thā
mere ḳhayāl meñ aa kar nikal gayā vo rang
jo āsmāñ pe harā aur zamīñ pe niilā thā
sabhī kī uñgliyāñ uTThī thiiñ bas mirī jānib
na jaane maiñ ne ye kis kā libās pahnā thā
chamak rahe the sitāre jahāñ-jahāñ 'ajmal'
vahīñ vahīñ pe zarā āsmān gahrā thā
akeli raat thi chaaron taraf andhera tha
aur ek peD se mera hi hath nikla tha
ajib dhun thi ki baDhte hi ja rahe the qadam
har ek taraf se mujhe aandhiyon ne ghera tha
nazar to aae the hum ko bhi panw uThte hue
phir is ke baad bahut dur tak andhera tha
bikhar rahe the andhere hamare sar pe magar
ufuq se ta-ba-ufuq chandni ka Dera tha
mere KHayal mein aa kar nikal gaya wo rang
jo aasman pe hara aur zamin pe nila tha
sabhi ki ungliyan uTThi thin bas meri jaanib
na jaane main ne ye kis ka libas pahna tha
chamak rahe the sitare jahan-jahan 'ajmal'
wahin wahin pe zara aasman gahra tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.