akeli ruh akela mera badan bhi hai
akelī ruuh akelā mirā badan bhī hai
akele-pan kā ye sahrā mirā chaman bhī hai
kushūd-e-zāt kā munkir thā kab ḳhabar thī mujhe
barahnagī hī mirī merā pairahan bhī hai
ḳhud apne qurb kī tanhā.iyoñ meñ guzrā hai
vo ek lamha ki ḳhalvat bhī anjuman bhī hai
kuchh itnā sahl nahīñ merā faash ho jaanā
mire badan pe to ḳhvāboñ kā pairahan bhī hai
banā rahā thā vo harf-o-sadā ke gul-būTe
use ḳhabar na thī ik sochne kā fan bhī hai
akeli ruh akela mera badan bhi hai
akele-pan ka ye sahra mera chaman bhi hai
kushud-e-zat ka munkir tha kab KHabar thi mujhe
barahnagi hi meri mera pairahan bhi hai
KHud apne qurb ki tanhaiyon mein guzra hai
wo ek lamha ki KHalwat bhi anjuman bhi hai
kuchh itna sahl nahin mera fash ho jaana
mere badan pe to KHwabon ka pairahan bhi hai
bana raha tha wo harf-o-sada ke gul-buTe
use KHabar na thi ek sochne ka fan bhi hai
- Book : Namuu kii aaG (Pg. 84)
- Author : Akbar Hayderabadi
- Publication : Sima Publications, New Delhi (1981)
- Edition : 1981
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.