aks agar ḳhūb-tar nahīñ lagtā
aa.ina mo'atabar nahīñ lagtā
aap ko dekhnā zarūrī hai
aap ko dekh kar nahīñ lagtā
hai ajab kashmakash kidhar jaa.eñ
rāsta muḳhtasar nahīñ lagtā
ham ne ashkoñ se dostī kar lī
ab samundar se Dar nahīñ lagtā
haath siine pe rakh ke dekhā hai
dil abhī dar-ba-dar nahīñ lagtā
maiñ bhī maujūd huuñ kahānī meñ
aksar-o-beshtar nahīñ lagtā
chashm-e-rahzan meñ rahne vāloñ kī
ḳhaak par ho basar nahīñ lagtā
aks agar KHub-tar nahin lagta
aaina mo'atabar nahin lagta
aap ko dekhna zaruri hai
aap ko dekh kar nahin lagta
hai ajab kashmakash kidhar jaen
rasta muKHtasar nahin lagta
hum ne ashkon se dosti kar li
ab samundar se Dar nahin lagta
hath sine pe rakh ke dekha hai
dil abhi dar-ba-dar nahin lagta
main bhi maujud hun kahani mein
aksar-o-beshtar nahin lagta
chashm-e-rahzan mein rahne walon ki
KHak par ho basar nahin lagta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.