aks apna kabhi bharpur nahin dekhta main
aks apnā kabhī bharpūr nahīñ dekhtā maiñ
aa.ine meñ dil-e-ranjūr nahīñ dekhtā meñ
husn-e-āġhāz batātā hai natīja mujh ko
hāsil-e-qissa-e-mash.hūr nahīñ dekhtā maiñ
ġham ke girte hue mansab ko uThā bhī na sakūñ
ḳhud ko is darja bhī ma.azūr nahīñ dekhtā maiñ
lab muqaffal the jab āñkhoñ se pukārā hai tujhe
qariya-e-jāñ se bahut duur nahīñ dekhtā maiñ
umr maḳhdūsh ujāle kī rifāqat kī hai kam
is liye gosha-e-pur-nūr nahīñ dekhtā maiñ
jaane kyoñ mere liye bā.is-e-tashvīsh hai ye
dushman-e-jān ko masrūr nahīñ dekhtā maiñ
aks apna kabhi bharpur nahin dekhta main
aaine mein dil-e-ranjur nahin dekhta mein
husn-e-aghaz batata hai natija mujh ko
hasil-e-qissa-e-mashhur nahin dekhta main
gham ke girte hue mansab ko uTha bhi na sakun
KHud ko is darja bhi mazur nahin dekhta main
lab muqaffal the jab aankhon se pukara hai tujhe
qariya-e-jaan se bahut dur nahin dekhta main
umr maKHdush ujale ki rifaqat ki hai kam
is liye gosha-e-pur-nur nahin dekhta main
jaane kyon mere liye bais-e-tashwish hai ye
dushman-e-jaan ko masrur nahin dekhta main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.