aks-dar-aks hai chehron ki numudari se
aks-dar-aks hai chehroñ kī numūdārī se
aa.ina dekhte haiñ log bhī be-zārī se
phir bhī ilzām ka.ī aa ga.e sar par apne
maiñ gurezāñ to rahā vaqt kī ayyārī se
buġhz hai hirs hai ġhībat hai riyā-kārī hai
jis qadar bhī ho raho duur hī bīmārī se
baT ke rah jaatā hai insān ka.ī hissoñ meñ
mashġhale paidā ajab hote haiñ bekārī se
be-sabab girtā nahīñ aadmī nazroñ se kabhī
bad-kalāmī ke sabab yā kabhī makkārī se
nā-mukammal hai ġhazal ġham kī mahārat ke baġhair
husn aatā hai kahāñ sheroñ meñ fankārī se
log girvīda mire yūñhī nahīñ aaj 'latīf'
dil ko jiitā hai ravābit se ravā-dārī se
aks-dar-aks hai chehron ki numudari se
aaina dekhte hain log bhi be-zari se
phir bhi ilzam kai aa gae sar par apne
main gurezan to raha waqt ki ayyari se
bughz hai hirs hai ghibat hai riya-kari hai
jis qadar bhi ho raho dur hi bimari se
baT ke rah jata hai insan kai hisson mein
mashghale paida ajab hote hain bekari se
be-sabab girta nahin aadmi nazron se kabhi
bad-kalami ke sabab ya kabhi makkari se
na-mukammal hai ghazal gham ki mahaarat ke baghair
husn aata hai kahan sheron mein fankari se
log girwida mere yunhi nahin aaj 'latif'
dil ko jita hai rawabit se rawa-dari se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.