aks-e-nairangi-e-jahan hain hum
aks-e-nairangi-e-jahāñ haiñ ham
ek be-rabt dāstāñ haiñ ham
kar diyā gum tirī nigāhoñ ne
terī mahfil meñ ab kahāñ haiñ ham
husn-e-zan phir kisī se kyā rakkheñ
apne saaya se bad-gumāñ haiñ ham
rāt-din nit na.e haiñ andeshe
aur un sab ke darmiyāñ haiñ ham
kuchh jo hote to phir ḳhudā hote
kuchh na ho kar bhī ik jahāñ haiñ ham
ye na samjhe fareb-e-hastī meñ
phir adam kī taraf ravāñ haiñ ham
aa bhī jaao ki puurī ho jaa.e
nā-mukammal sī dāstāñ haiñ ham
ātish-e-shauq sard hai 'navvāb'
the kabhī sho.ala ab dhuāñ haiñ ham
aks-e-nairangi-e-jahan hain hum
ek be-rabt dastan hain hum
kar diya gum teri nigahon ne
teri mahfil mein ab kahan hain hum
husn-e-zan phir kisi se kya rakkhen
apne saya se bad-guman hain hum
raat-din nit nae hain andeshe
aur un sab ke darmiyan hain hum
kuchh jo hote to phir KHuda hote
kuchh na ho kar bhi ek jahan hain hum
ye na samjhe fareb-e-hasti mein
phir adam ki taraf rawan hain hum
aa bhi jao ki puri ho jae
na-mukammal si dastan hain hum
aatish-e-shauq sard hai 'nawwab'
the kabhi shoala ab dhuan hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.