aks-e-ummid ko hum sham-e-farozan samjhe
aks-e-ummīd ko ham sham-e-farozāñ samjhe
gardish-o-barq-o-sharar raqs-e-bahārāñ samjhe
us kī qismat meñ kahāñ husn-e-bahārāñ dekhe
ghar ko sahrā jo gulistāñ ko bayābāñ samjhe
aas kī ek kiran bhī nahīñ tā-hadd-e-nazar
ye vahī hai jise ham sub.h-e-bahārāñ samjhe
ham saf-e-guncha-o-gul mauj-e-mah-o-anjum ko
halqa-e-māh-vashāñ bazm-e-nigārāñ samjhe
kū-e-pindār meñ ye bārish-e-sang-e-dushnām
bazla-sanjī sahī ham sheva-e-yārāñ samjhe
lamha-e-zīst izāfī thā kabhī aaya ḳhayāl
sarvat-e-dil jise sarmāya-e-armāñ samjhe
apne siine meñ liye sail-e-havādis thā 'zubair'
jis ko arbāb-e-nazar abr-e-bahārāñ samjhe
aks-e-ummid ko hum sham-e-farozan samjhe
gardish-o-barq-o-sharar raqs-e-bahaaran samjhe
us ki qismat mein kahan husn-e-bahaaran dekhe
ghar ko sahra jo gulistan ko bayaban samjhe
aas ki ek kiran bhi nahin ta-hadd-e-nazar
ye wahi hai jise hum subh-e-bahaaran samjhe
hum saf-e-guncha-o-gul mauj-e-mah-o-anjum ko
halqa-e-mah-washan bazm-e-nigaran samjhe
ku-e-pindar mein ye barish-e-sang-e-dushnam
bazla-sanji sahi hum shewa-e-yaran samjhe
lamha-e-zist izafi tha kabhi aaya KHayal
sarwat-e-dil jise sarmaya-e-arman samjhe
apne sine mein liye sail-e-hawadis tha 'zubair'
jis ko arbab-e-nazar abr-e-bahaaran samjhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.