aks ki kahani ka iqtibas hum hi the
aks kī kahānī kā iqtibās ham hī the
aa.ine ke bāhar bhī ās-pās ham hī the
jab shu.ūr-e-insānī rābte kā pyāsā thā
harf-o-saut ilm-o-fan kī asaas ham hī the
fāsloñ ne lamhoñ ko muntashir kiyā to phir
etibār-e-hastī kī ek aas ham hī the
muqtadir mohabbat kī shikva-sanj mahfil meñ
ḳhāmushī ko apnā.e pur-sipās ham hī the
ḳhvāb ko haqīqat kā ruup koī kyā detā
mun.akis tasavvur kā in.ikās ham hī the
aks ki kahani ka iqtibas hum hi the
aaine ke bahar bhi aas-pas hum hi the
jab shuur-e-insani rabte ka pyasa tha
harf-o-saut ilm-o-fan ki asas hum hi the
faslon ne lamhon ko muntashir kiya to phir
etibar-e-hasti ki ek aas hum hi the
muqtadir mohabbat ki shikwa-sanj mahfil mein
KHamushi ko apnae pur-sipas hum hi the
KHwab ko haqiqat ka rup koi kya deta
munakis tasawwur ka inikas hum hi the
- Book : Pakistani Adab (Pg. 621)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.