aks ko dhundhla dikhata ho agar achchha nahin
'aks ko dhuñdhlā dikhātā ho agar achchhā nahīñ
chāhe sone meñ jaḌā ho vo mirror achchhā nahīñ
chaaT jaatā hai badan ko ranj dīmak kī tarah
ranj-o-ġham kuchh din hai behtar 'umr-bhar achchhā nahīñ
jo musāfir ko sukūñ dene se qāsir hai shajar
kitne hī phal de magar aisā shajar achchhā nahīñ
kāTtā hai muñh jo chūnā ho ziyāda paan meñ
yaad karnā hai karo par 'umr-bhar achchhā nahīñ
yuuñ to saare hī color 'ilyās' achchhe haiñ magar
jis color ko vo na pahne vo color achchhā nahīñ
'aks ko dhundhla dikhata ho agar achchha nahin
chahe sone mein jaDa ho wo mirror achchha nahin
chaT jata hai badan ko ranj dimak ki tarah
ranj-o-gham kuchh din hai behtar 'umr-bhar achchha nahin
jo musafir ko sukun dene se qasir hai shajar
kitne hi phal de magar aisa shajar achchha nahin
kaTta hai munh jo chuna ho ziyaada pan mein
yaad karna hai karo par 'umr-bhar achchha nahin
yun to sare hi color 'ilyas' achchhe hain magar
jis color ko wo na pahne wo color achchha nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.