aks mahbub ka aaya jo nazar pani mein
aks mahbūb kā aaya jo nazar paanī meñ
yuuñ lagā jaise utar aaya qamar paanī meñ
ghol kar zahr vo dete haiñ agar paanī meñ
aur baḌhtā hai mohabbat kā asar paanī meñ
roz paanī pe banātā huuñ maiñ us kī tasvīr
aate haiñ ziist ke āsār nazar paanī meñ
aisā manzil ke qarīñ TuuT ke barsā bādal
āḳhirash Duub ga.ī rāhguzar paanī meñ
mire ashkoñ se na dāman tirā jal jaa.e kahīñ
suntā aaya huuñ ki hotā hai sharar paanī meñ
umr bhar yūñhī maiñ tūfān-e-balā se khelā
shaam paanī meñ kaTī aur sahar paanī meñ
harf aa jā.egā tum par bhī yaqīnan lahro
Duub kar mar gayā dīvāna agar paanī meñ
kyoñ na pī luuñ ise chhū kar ye tire lab aaya
ho gayā hogā tire lab kā asar paanī meñ
mujh ko sab rok rahe the sar-e-sāhil 'hairat'
maiñ to kartā hī rahā apnā safar paanī meñ
aks mahbub ka aaya jo nazar pani mein
yun laga jaise utar aaya qamar pani mein
ghol kar zahr wo dete hain agar pani mein
aur baDhta hai mohabbat ka asar pani mein
roz pani pe banata hun main us ki taswir
aate hain zist ke aasar nazar pani mein
aisa manzil ke qarin TuT ke barsa baadal
aaKHirash Dub gai rahguzar pani mein
mere ashkon se na daman tera jal jae kahin
sunta aaya hun ki hota hai sharar pani mein
umr bhar yunhi main tufan-e-bala se khela
sham pani mein kaTi aur sahar pani mein
harf aa jaega tum par bhi yaqinan lahro
Dub kar mar gaya diwana agar pani mein
kyon na pi lun ise chhu kar ye tere lab aaya
ho gaya hoga tere lab ka asar pani mein
mujh ko sab rok rahe the sar-e-sahil 'hairat'
main to karta hi raha apna safar pani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.