aks pani mein jal gae kitne
aks paanī meñ jal ga.e kitne
jugnuoñ se bahal ga.e kitne
kahkashāñ maañg meñ sañvarne lagī
rañg kājal meñ Dhal ga.e kitne
aa.e sab rāste mire ghar tak
āsmāñ tak nikal ga.e kitne
baat phailī shafaq kināroñ tak
chāñd-tāre ajal ga.e kitne
dhyān kā dar khulā to yādoñ ke
diip āñkhoñ meñ jal ga.e kitne
hote hote ye taur aam huā
girte girte sambhal ga.e kitne
vo bhī ḳhvāboñ ke ham-safar Thahre
qāfile ruḳh badal ga.e kitne
koī harf-e-duā huā bhī nahīñ
hādse jaañ se Tal ga.e kitne
aks pani mein jal gae kitne
jugnuon se bahal gae kitne
kahkashan mang mein sanwarne lagi
rang kajal mein Dhal gae kitne
aae sab raste mere ghar tak
aasman tak nikal gae kitne
baat phaili shafaq kinaron tak
chand-tare ajal gae kitne
dhyan ka dar khula to yaadon ke
dip aankhon mein jal gae kitne
hote hote ye taur aam hua
girte girte sambhal gae kitne
wo bhi KHwabon ke ham-safar Thahre
qafile ruKH badal gae kitne
koi harf-e-dua hua bhi nahin
hadse jaan se Tal gae kitne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.