aksar donon chup rahte hain man aur main
aksar donoñ chup rahte haiñ maañ aur maiñ
sab kahte haiñ ik jaise haiñ maañ aur maiñ
jin ke andar un kī sāñseñ aTkī haiñ
baabā ke vo do tote haiñ maañ aur maiñ
ham rishta daulat se aage rakhte the
isī liye sab se pīchhe haiñ maañ aur maiñ
raazī raazī baTvāre se sab ḳhush haiñ
kone meñ chup-chāp khaḌe haiñ maañ aur maiñ
aksar donon chup rahte hain man aur main
sab kahte hain ek jaise hain man aur main
jin ke andar un ki sansen aTki hain
baba ke wo do tote hain man aur main
hum rishta daulat se aage rakhte the
isi liye sab se pichhe hain man aur main
raazi raazi baTware se sab KHush hain
kone mein chup-chap khaDe hain man aur main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.