aksar main sochti hun ki aisa hua hai kyon
aksar maiñ sochtī huuñ ki aisā huā hai kyoñ
māyūs huuñ ḳhudā se to lab par duā hai kyoñ
dil kī zamīñ vahī hai vahī hai havā-e-dahr
phir shāḳh-e-ġham pe ek hī pattā harā hai kyoñ
maazī na ho to haal kī pahchān bhī na ho
phir zindagī pe vaqt kā pahrā lagā hai kyoñ
us ke baġhair kaise guzārī hai zindagī
sab kuchh vo jāntā hai to phir pūchhtā hai kyoñ
āvāz de rahī huuñ to detā nahīñ javāb
aur ye bhī kah na paayā ki mujh se ḳhafā hai kyoñ
shāyad mirī nazar kā ye 'shabnam' kamāl hai
vo sab ke saath rah ke bhī sab se judā hai kyoñ
aksar main sochti hun ki aisa hua hai kyon
mayus hun KHuda se to lab par dua hai kyon
dil ki zamin wahi hai wahi hai hawa-e-dahr
phir shaKH-e-gham pe ek hi patta hara hai kyon
mazi na ho to haal ki pahchan bhi na ho
phir zindagi pe waqt ka pahra laga hai kyon
us ke baghair kaise guzari hai zindagi
sab kuchh wo jaanta hai to phir puchhta hai kyon
aawaz de rahi hun to deta nahin jawab
aur ye bhi kah na paya ki mujh se KHafa hai kyon
shayad meri nazar ka ye 'shabnam' kamal hai
wo sab ke sath rah ke bhi sab se juda hai kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.