aksar sari raat hui hai
aksar saarī raat huī hai
ḳhud se merī baat huī hai
bhiig ga.e donoñ ke dāman
bin bādal barsāt huī hai
lāñbī palkoñ ke pīchhe se
dil par gahrī ghaat huī hai
shahr meñ aa kar kuchh din meñ hī
ūñchī us kī zaat huī hai
merī terī is kī us kī
apnoñ se hī maat huī hai
āñkheñ roī sī lagtī haiñ
ghar meñ kuchh to baat huī hai
niiñd se bojhal haiñ ye palkeñ
chaliye ghar ko raat huī hai
aksar sari raat hui hai
KHud se meri baat hui hai
bhig gae donon ke daman
bin baadal barsat hui hai
lanbi palkon ke pichhe se
dil par gahri ghat hui hai
shahr mein aa kar kuchh din mein hi
unchi us ki zat hui hai
meri teri is ki us ki
apnon se hi mat hui hai
aankhen roi si lagti hain
ghar mein kuchh to baat hui hai
nind se bojhal hain ye palken
chaliye ghar ko raat hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.