aksar ye sochta hun main kam-nazar nahin hun
aksar ye sochtā huuñ maiñ kam-nazar nahīñ huuñ
ḳhalvat-guzīñ huuñ garche par be-ḳhabar nahīñ huuñ
mujh ko sañbhālne kī zahmat vo kyoñ uThātā
maiñ sang-e-rahguzar huuñ lā'l-o-gauhar nahīñ huuñ
rūdād likh rahā huuñ ujḌe hue chaman kī
hassās aadmī huuñ maiñ sang-e-dar nahīñ huuñ
bā'd-e-ḳhudā bashar kī tauhīd kā huuñ qaa.il
insāñ ke munkiroñ kā maiñ ham-safar nahīñ huuñ
fikr-e-hayāt jab hai mere suḳhan meñ pinhāñ
phir kyoñ kahūñ suḳhanvar maiñ mo'tabar nahīñ huuñ
TukḌoñ meñ baT gayā huuñ is 'ishq-o-'āshiqī meñ
ab apne saath bhī maiñ shām-o-sahar nahīñ huuñ
'jā'far' qalam uThā kar ye sochtā huuñ aksar
is teġh-e-bā-asar se maiñ be-asar nahīñ huuñ
aksar ye sochta hun main kam-nazar nahin hun
KHalwat-guzin hun garche par be-KHabar nahin hun
mujh ko sanbhaalne ki zahmat wo kyon uThata
main sang-e-rahguzar hun la'l-o-gauhar nahin hun
rudad likh raha hun ujDe hue chaman ki
hassas aadmi hun main sang-e-dar nahin hun
ba'd-e-KHuda bashar ki tauhid ka hun qail
insan ke munkiron ka main ham-safar nahin hun
fikr-e-hayat jab hai mere suKHan mein pinhan
phir kyon kahun suKHanwar main mo'tabar nahin hun
TukDon mein baT gaya hun is 'ishq-o-'ashiqi mein
ab apne sath bhi main sham-o-sahar nahin hun
'ja'far' qalam uTha kar ye sochta hun aksar
is tegh-e-ba-asar se main be-asar nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.