alawa jalwa-e-mani ke kul jahan dekha
alāva jalva-e-ma.anī ke kul jahāñ dekhā
jo chiiz dekhne kī thī use kahāñ dekhā
chhupā.e rakhā hamesha nigāh-e-gulchīñ se
na dekhne kī tarah sū-e-āshiyāñ dekhā
ye yaad hai ki mulāqāt to huī thī kahīñ
magar ye yaad nahīñ hai tumheñ kahāñ dekhā
qafas meñ niiñd bhī kaise fareb detī hai
khulī jo aañkh to gulshan na āshiyāñ dekhā
zamīñ ke zulm bhī bardāsht ham ne hañs ke kiye
tirā bhī dabdaba ai jaur-e-āsmāñ dekhā
hazāroñ zaḳhm the insāniyat kī mayyat par
tamām dāman-e-fitrat ko ḳhūñ-chakāñ dekhā
jo log hifz zabāñ kī zabān dete the
to 'qaisar' un ko hī ġhārat-gar-e-zabāñ dekhā
alawa jalwa-e-mani ke kul jahan dekha
jo chiz dekhne ki thi use kahan dekha
chhupae rakha hamesha nigah-e-gulchin se
na dekhne ki tarah su-e-ashiyan dekha
ye yaad hai ki mulaqat to hui thi kahin
magar ye yaad nahin hai tumhein kahan dekha
qafas mein nind bhi kaise fareb deti hai
khuli jo aankh to gulshan na aashiyan dekha
zamin ke zulm bhi bardasht hum ne hans ke kiye
tera bhi dabdaba ai jaur-e-asman dekha
hazaron zaKHm the insaniyat ki mayyat par
tamam daman-e-fitrat ko KHun-chakan dekha
jo log hifz zaban ki zaban dete the
to 'qaisar' un ko hi ghaarat-gar-e-zaban dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.