alag alag rahe har sang ghaTi ghaTi baTe
alag alag rahe har sang ghāTī ghāTī baTe
hai intizār sabhī ko ki ye pahāḌ phaTe
na mujh meñ itnī sakat jo maiñ pastiyoñ se baḌhūñ
na aisī shakl koī qad bulandiyoñ kā ghaTe
guzarte lamhoñ kī raftār ghaav kartī huī
train chaltī rahe paTriyoñ kā jism kaTe
abhī qarīb hī phir Tuut kar gire patthar
nikal chalo kahīñ ham par koī chaTān phaTe
'ajab gurez hai is TūTte ta'alluq meñ
qadam jidhar bhī paḌeñ duur tak zamīn haTe
sahar hī ko vo musāfir chalā gayā shab kā
akele kamre kā din sochtā hai kaise kaTe
hai gahrī dhund pe donoñ ke rābte kā madār
milegā kaun 'musavvir' agar ġhubār chhaTe
alag alag rahe har sang ghaTi ghaTi baTe
hai intizar sabhi ko ki ye pahaD phaTe
na mujh mein itni sakat jo main pastiyon se baDhun
na aisi shakl koi qad bulandiyon ka ghaTe
guzarte lamhon ki raftar ghaw karti hui
train chalti rahe paTriyon ka jism kaTe
abhi qarib hi phir Tut kar gire patthar
nikal chalo kahin hum par koi chaTan phaTe
'ajab gurez hai is TuTte ta'alluq mein
qadam jidhar bhi paDen dur tak zamin haTe
sahar hi ko wo musafir chala gaya shab ka
akele kamre ka din sochta hai kaise kaTe
hai gahri dhund pe donon ke rabte ka madar
milega kaun 'musawwir' agar ghubar chhaTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.