alag har ek fasane se hai tamhid-e-bayan meri
alag har ek fasane se hai tamhid-e-bayan meri
Mahir Qureshi Barelvi
MORE BYMahir Qureshi Barelvi
alag har ik fasāne se hai tamhīd-e-bayāñ merī
zamāna muskurā detā hai sun kar dāstāñ merī
shamīm-e-jiddat-e-mafhūm hai tarz-e-bayāñ merī
mufakkir ban ke mahkegī chaman meñ dāstāñ merī
yaqīñ kī had se bāhar ho chuke haiñ aap ke va.ade
idhar kuchh aur ban jaane ko haiñ ḳhāmoshiyāñ merī
junūñ ne to uḌā diiñ dhajjiyāñ jaib-o-garebāñ kī
magar jaib-o-garebāñ ne uḌā diiñ dhajjiyāñ merī
yaqīnan tū hī phuñk jā.egī bijlī muñh agar moḌā
harīf-e-barq ban jā.egī shāḳh-e-āshiyāñ merī
mazāq-e-dīd baḳhshā to shu.ūr-e-dīd bhī baḳhsho
tumheñ dekhūñgā maiñ kaise nazar aisī kahāñ merī
mujhī par tanz kartī hai mirī be-chārgī 'māhir'
ki ab to āḳhirī manzil meñ hai umr-e-ravāñ merī
alag har ek fasane se hai tamhid-e-bayan meri
zamana muskura deta hai sun kar dastan meri
shamim-e-jiddat-e-mafhum hai tarz-e-bayan meri
mufakkir ban ke mahkegi chaman mein dastan meri
yaqin ki had se bahar ho chuke hain aap ke wade
idhar kuchh aur ban jaane ko hain KHamoshiyan meri
junun ne to uDa din dhajjiyan jaib-o-gareban ki
magar jaib-o-gareban ne uDa din dhajjiyan meri
yaqinan tu hi phunk jaegi bijli munh agar moDa
harif-e-barq ban jaegi shaKH-e-ashiyan meri
mazaq-e-did baKHsha to shuur-e-did bhi baKHsho
tumhein dekhunga main kaise nazar aisi kahan meri
mujhi par tanz karti hai meri be-chaargi 'mahir'
ki ab to aaKHiri manzil mein hai umr-e-rawan meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.