alag tum se hua firqa hamara
alag tum se huā firqa hamārā
tumhārā taḳht aur taḳhta hamārā
hamārī shān-o-shaukat yaad rakhnā
palaT kar aa.egā 'arsa hamārā
tumhārā naam likh kar aa ga.e haiñ
bahut achchhā huā parcha hamārā
agar tum dam karo palkeñ hamārī
na TūTegā koī sapnā hamārā
hamāre baap daada chāñd se the
vahīñ par thā kahīñ qasba hamārā
chalo ham hijr ko taqsīm kar leñ
tumhārā nisf aur aadhā hamārā
hamārī choT hai sadiyoñ purānī
ziyāda zaḳhm hai gahrā hamārā
mohabbat se banī miTTī hamārī
nahīñ miltā kahīñ lahja hamārā
nayā maañ ne mohabbat se siyā thā
purāne suiT se basta hamārā
alag tum se hua firqa hamara
tumhaara taKHt aur taKHta hamara
hamari shan-o-shaukat yaad rakhna
palaT kar aaega 'arsa hamara
tumhaara nam likh kar aa gae hain
bahut achchha hua parcha hamara
agar tum dam karo palken hamari
na TuTega koi sapna hamara
hamare bap dada chand se the
wahin par tha kahin qasba hamara
chalo hum hijr ko taqsim kar len
tumhaara nisf aur aadha hamara
hamari choT hai sadiyon purani
ziyaada zaKHm hai gahra hamara
mohabbat se bani miTTi hamari
nahin milta kahin lahja hamara
naya man ne mohabbat se siya tha
purane suiT se basta hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.