alam aah-o-fughan aansu gile bechaargi le kar
alam aah-o-fughan aansu gile bechaargi le kar
Anwar Nizami Jabalpuri
MORE BYAnwar Nizami Jabalpuri
alam āh-o-fuġhāñ aañsū gile bechārgī le kar
tumhāre paas aaya huuñ maiñ apnī zindagī le kar
chaman se ek kāñTā aur ik nāzuk kalī le kar
taqābul kar rahā huuñ zindagī se zindagī le kar
nahīñ chhupte hoñ dhabbe jis se merī be-gunāhī ke
mujhe hājat nahīñ kyā hogā aisī raushnī le kar
tire aariz se ye zulf-e-siyah jab bhī saraktī hai
gagan kā chāñd chhup jaatā hai apnī raushnī le kar
tire ruḳhsār ke til par mujhe aksar ḳhayāl aaya
kañval par jaise bhañvrā ruk gayā ho zindagī le kar
mahal ta.amīr ye jo kar rahā hai ḳhuun se apne
yahī fōtpath par dam toḌ degā bebasī le kar
barā.e-nām 'anvar' huuñ karam ahbāb kā varna
azal hī se muqaddar meñ chalā huuñ tīrgī le kar
alam aah-o-fughan aansu gile bechaargi le kar
tumhaare pas aaya hun main apni zindagi le kar
chaman se ek kanTa aur ek nazuk kali le kar
taqabul kar raha hun zindagi se zindagi le kar
nahin chhupte hon dhabbe jis se meri be-gunahi ke
mujhe hajat nahin kya hoga aisi raushni le kar
tere aariz se ye zulf-e-siyah jab bhi sarakti hai
gagan ka chand chhup jata hai apni raushni le kar
tere ruKHsar ke til par mujhe aksar KHayal aaya
kanwal par jaise bhanwra ruk gaya ho zindagi le kar
mahal tamir ye jo kar raha hai KHun se apne
yahi footpath par dam toD dega bebasi le kar
barae-nam 'anwar' hun karam ahbab ka warna
azal hi se muqaddar mein chala hun tirgi le kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.