alam had se ziyaada aur KHushi kam
alam had se ziyāda aur ḳhushī kam
mayassar hai mujhe āsūdgī kam
jalā.e haiñ diye apne lahū se
na hogī anjuman meñ raushnī kam
yahī kū-e-nigārāñ hai yahāñ par
numā.ish hai ziyāda sādgī kam
sañvar jaa.e hamārī zindagānī
jo ho jaa.e tumhārī be-ruḳhī kam
ġham itne baḌh chuke haiñ zindagī meñ
mire hoñToñ pe aatī hai hañsī kam
alam had se ziyaada aur KHushi kam
mayassar hai mujhe aasudgi kam
jalae hain diye apne lahu se
na hogi anjuman mein raushni kam
yahi ku-e-nigaran hai yahan par
numaish hai ziyaada sadgi kam
sanwar jae hamari zindagani
jo ho jae tumhaari be-ruKHi kam
gham itne baDh chuke hain zindagi mein
mere honTon pe aati hai hansi kam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.