alam ka apne izala na kar saka wo bhi
alam kā apne izāla na kar sakā vo bhī
mire baġhair guzāra na kar sakā vo bhī
banā sakā na kahīñ aur maiñ sanam-ḳhāna
kisī kā saath gavāra na kar sakā vo bhī
maiñ apne taur tarīqoñ se ḳhuub vāqif huuñ
burā thā maiñ jise achchhā na kar sakā vo bhī
tamām raat rahā jism us ke iimā par
kuchh aur is se ziyāda na kar sakā vo bhī
kabhī jo ek parinda idhar bhī aaya thā
gurez-pā thā baserā na kar sakā vo bhī
ye māntā huuñ bahut mehrbān thā ham par
hamāre ġham kā mudāvā na kar sakā vo bhī
vo ik charāġh 'sharāfat' jo kab se raushan hai
añdhere ghar meñ ujālā na kar sakā vo bhī
alam ka apne izala na kar saka wo bhi
mere baghair guzara na kar saka wo bhi
bana saka na kahin aur main sanam-KHana
kisi ka sath gawara na kar saka wo bhi
main apne taur tariqon se KHub waqif hun
bura tha main jise achchha na kar saka wo bhi
tamam raat raha jism us ke ima par
kuchh aur is se ziyaada na kar saka wo bhi
kabhi jo ek parinda idhar bhi aaya tha
gurez-pa tha basera na kar saka wo bhi
ye manta hun bahut mehrban tha hum par
hamare gham ka mudawa na kar saka wo bhi
wo ek charagh 'sharafat' jo kab se raushan hai
andhere ghar mein ujala na kar saka wo bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.