alam-nasib sahi kuchh to muskura bhi sako
alam-nasib sahi kuchh to muskura bhi sako
Maulwi Syed Mumtaz Ali
MORE BYMaulwi Syed Mumtaz Ali
alam-nasīb sahī kuchh to muskurā bhī sako
sahar ke naam pe dīvār-e-shab girā bhī sako
ga.ī rutoñ ke gulāboñ sī hai mahak us meñ
phir us ko yaad karo dil ko gudgudā bhī sako
vo itnā zūd-farāmosh hai to kyā hogā
hazār ahd agar yaad use dilā bhī sako
ye kyā lagāv ki ham rāste kā patthar haiñ
ye kyā gurez ki tum phir palaT ke aa bhī sako
vo dil-fareb sahī kaash dil-zado tum bhī
jo kab kā bhuul chukā hai use bhulā bhī sako
qabā-e-shab meñ sulagte haiñ zaḳhm din bhar ke
lahū kī aag se kuchh raushnī baḌhā bhī sako
ye maanā ik vahī qātil hai shahr meñ 'sarmad'
kam-az-kam us kī nazar se nazar milā bhī sako
alam-nasib sahi kuchh to muskura bhi sako
sahar ke nam pe diwar-e-shab gira bhi sako
gai ruton ke gulabon si hai mahak us mein
phir us ko yaad karo dil ko gudguda bhi sako
wo itna zud-faramosh hai to kya hoga
hazar ahd agar yaad use dila bhi sako
ye kya lagaw ki hum raste ka patthar hain
ye kya gurez ki tum phir palaT ke aa bhi sako
wo dil-fareb sahi kash dil-zado tum bhi
jo kab ka bhul chuka hai use bhula bhi sako
qaba-e-shab mein sulagte hain zaKHm din bhar ke
lahu ki aag se kuchh raushni baDha bhi sako
ye mana ek wahi qatil hai shahr mein 'sarmad'
kam-az-kam us ki nazar se nazar mila bhi sako
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.