alam uThae hue mashalen jalae hue
'alam uThā.e hue mash'aleñ jalā.e hue
vafā ke 'ahd-shanāsoñ pe likh rahe haiñ ham
nazar milī hī nahīñ tishnagī chalī aa.ī
usī nazar kī talāshoñ pe likh rahe haiñ ham
hai intisāb hamārā ba-nām-e-ahl-e-vafā
jafā ke khel tamāshoñ pe likh rahe haiñ ham
zarā sañbhal ke tumheñ aable bhī banñā hai
abhī badan kī ḳharāshoñ pe likh rahe haiñ ham
ye din kisī kī adāoñ pe she'r kahne ke the
ye kyā sitam hai ki lāshoñ pe likh rahe haiñ ham
bane the zīnat-e-aḳhbār jis kī surḳhī se
usī ḳhabar ke tarāshoñ pe likh rahe haiñ ham
'alam uThae hue mash'alen jalae hue
wafa ke 'ahd-shanason pe likh rahe hain hum
nazar mili hi nahin tishnagi chali aai
usi nazar ki talashon pe likh rahe hain hum
hai intisab hamara ba-nam-e-ahl-e-wafa
jafa ke khel tamashon pe likh rahe hain hum
zara sanbhal ke tumhein aable bhi banna hai
abhi badan ki KHarashon pe likh rahe hain hum
ye din kisi ki adaon pe she'r kahne ke the
ye kya sitam hai ki lashon pe likh rahe hain hum
bane the zinat-e-aKHbar jis ki surKHi se
usi KHabar ke tarashon pe likh rahe hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.