alfaz ko hai dil mein utar jaane ki aadat
alfāz ko hai dil meñ utar jaane kī 'ādat
jis tarh musāfir ko hai ghar jaane kī 'ādat
raste meñ khaḌe ho ke sañvar jaane kī 'ādat
chehre ko bhī kuchh aur nikhar jaane kī 'ādat
ik hashr uThāte hue ā.eñge tire paas
chup-chāp nahīñ ham ko guzar jaane kī 'ādat
sau qism ke jhagḌoñ se bachā letī hai mujh ko
har baat se ye saaf mukar jaane kī 'ādat
ġhamgīn agar hoñ to simaT jaate haiñ ḳhud meñ
lamhāt-e-ḳhushī hoñ to bikhar jaane kī 'ādat
duniyā meñ kabhī sar ko uThā kar nahīñ chalte
jin ko bhī hai āfāt se Dar jaane kī 'ādat
'ḳhālid' hai ye Thahrāv qayāmat kī nishānī
har ek qadam chhoḌ Thahar jaane kī 'ādat
alfaz ko hai dil mein utar jaane ki 'adat
jis tarh musafir ko hai ghar jaane ki 'adat
raste mein khaDe ho ke sanwar jaane ki 'adat
chehre ko bhi kuchh aur nikhar jaane ki 'adat
ek hashr uThate hue aaenge tere pas
chup-chap nahin hum ko guzar jaane ki 'adat
sau qism ke jhagDon se bacha leti hai mujh ko
har baat se ye saf mukar jaane ki 'adat
ghamgin agar hon to simaT jate hain KHud mein
lamhat-e-KHushi hon to bikhar jaane ki 'adat
duniya mein kabhi sar ko uTha kar nahin chalte
jin ko bhi hai aafat se Dar jaane ki 'adat
'KHalid' hai ye Thahraw qayamat ki nishani
har ek qadam chhoD Thahar jaane ki 'adat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.