allah jaane kaisa chaman par azab hai
allāh jaane kaisā chaman par 'azāb hai
kāñToñ pe hai shabāb fasurda gulāb hai
har vaqt mutma.in huuñ maiñ apnī hayāt se
mujh par kisī kā lutf-o-karam be-hisāb hai
dāman hai chaak chehra fasurda aur aañkh nam
jo kuchh bhī hai ye baḳhshish-e-'ālī-janāb hai
tā'bīr sab ko ḳhvāb kī miltī nahīñ magar
tā'bīr jis kī tum ho haqīqat vo ḳhvāb hai
vo ḳhud bhī chal rahe haiñ zamāne ke saath saath
aur phir bhī kah rahe haiñ zamāna ḳharāb hai
manzil qadam 'na'īm' ke chūmegī ek din
jab us ke saath aap kā ġham ham-rikāb hai
allah jaane kaisa chaman par 'azab hai
kanTon pe hai shabab fasurda gulab hai
har waqt mutmain hun main apni hayat se
mujh par kisi ka lutf-o-karam be-hisab hai
daman hai chaak chehra fasurda aur aankh nam
jo kuchh bhi hai ye baKHshish-e-'ali-janab hai
ta'bir sab ko KHwab ki milti nahin magar
ta'bir jis ki tum ho haqiqat wo KHwab hai
wo KHud bhi chal rahe hain zamane ke sath sath
aur phir bhi kah rahe hain zamana KHarab hai
manzil qadam 'na'im' ke chumegi ek din
jab us ke sath aap ka gham ham-rikab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.