alqab KHat mein jitne baad-az-salam likkhe
alqāb ḳhat meñ jitne ba.ad-az-salām likkhe
dushman ko dostī ke behtar maqām likkhe
merī rafāqatoñ ke ye intiqām likkhe
ḳhanjar zamāne-bhar ke bas mere naam likkhe
nākām zindagī meñ dīvāna kaam likhe
patthar havā meñ pheñke paanī pe naam likkhe
jur.at meñ rah-ravī ye naqsh-e-davām likkhe
āñkhoñ meñ sub.h likkhe Thokar meñ shaam likhe
bādal sarāb ban kar ḳhud ko uḌā chukā hai
pyāsoñ ne lekin apne hoñToñ pe jaam likkhe
bastī se be-tahāshā uḌte hue dhueñ ne
dīvār-o-dar pe ujle manzar tamām likkhe
vo sang-e-mīl 'zākir' rāhoñ meñ anginat haiñ
lekin junūñ ne apne kyoñ chand gaam likkhe
alqab KHat mein jitne baad-az-salam likkhe
dushman ko dosti ke behtar maqam likkhe
meri rafaqaton ke ye intiqam likkhe
KHanjar zamane-bhar ke bas mere nam likkhe
nakaam zindagi mein diwana kaam likhe
patthar hawa mein phenke pani pe nam likkhe
jurat mein rah-rawi ye naqsh-e-dawam likkhe
aankhon mein subh likkhe Thokar mein sham likhe
baadal sarab ban kar KHud ko uDa chuka hai
pyason ne lekin apne honTon pe jam likkhe
basti se be-tahasha uDte hue dhuen ne
diwar-o-dar pe ujle manzar tamam likkhe
wo sang-e-mil 'zakir' rahon mein anginat hain
lekin junun ne apne kyon chand gam likkhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.