altaf farz hai sitam-e-na-rawa ke baad
altaf farz hai sitam-e-na-rawa ke baad
Syed Masood Hasan Masood
MORE BYSyed Masood Hasan Masood
altāf farz hai sitam-e-nā-ravā ke baad
mehr-o-vafā bhī chāhiye jaur-o-jafā ke baad
hogā yahī taraqqī-e-mehr-o-vafā ke baad
sau sau balā.eñ ā.eñgī ek ik balā ke baad
ye jānte agar to duā.eñ na māñgte
māyūsiyoñ se sābiqa hogā duā ke baad
mahrūm-e-dīd hashr meñ bhī kyā raheñge ham
kyā aur din bhī aa.egā roz-e-jazā ke baad
baaqī rahī taraqqī-e-roz-e-sitam agar
ham zindagī ko yaad kareñge qazā ke baad
haiñ munhasir isī pe zamāne kī saḳhtiyāñ
sadme sahegā kaun dil-e-mubtalā ke baad
anjām zulm-e-ġhair-munāsib kā ye huā
pachhtā rahe haiñ vo sitam-e-nā-ravā ke baad
ye daġhdaġha hai aur sabab iztirāb kā
aa.egā daur kaunsā ahd-e-vafā ke baad
pā.eñge roz-e-hashr ibādat kā sab sila
duunā maza mile jo sazā ho jazā ke baad
jiine se nā-umīd ho kyūñkar marīz-e-hijr
hai aasrā abhī to duā kā davā ke baad
mamnūn kyoñ na huuñ sitam-e-be-hisāb kā
qaa.il mirī vafā ke hue vo jafā ke baad
vaa.iz kalām-e-saḳht kā niklegā ye ma.aal
tārīf ham butoñ kī kareñge ḳhudā ke baad
ta.azīr-e-dost vaj.h-e-sukūn-e-alam huī
'mas.ūd' aur jurm kareñge ḳhatā ke baad
altaf farz hai sitam-e-na-rawa ke baad
mehr-o-wafa bhi chahiye jaur-o-jafa ke baad
hoga yahi taraqqi-e-mehr-o-wafa ke baad
sau sau balaen aaengi ek ek bala ke baad
ye jaante agar to duaen na mangte
mayusiyon se sabiqa hoga dua ke baad
mahrum-e-did hashr mein bhi kya rahenge hum
kya aur din bhi aaega roz-e-jaza ke baad
baqi rahi taraqqi-e-roz-e-sitam agar
hum zindagi ko yaad karenge qaza ke baad
hain munhasir isi pe zamane ki saKHtiyan
sadme sahega kaun dil-e-mubtala ke baad
anjam zulm-e-ghair-munasib ka ye hua
pachhta rahe hain wo sitam-e-na-rawa ke baad
ye daghdagha hai aur sabab iztirab ka
aaega daur kaunsa ahd-e-wafa ke baad
paenge roz-e-hashr ibaadat ka sab sila
duna maza mile jo saza ho jaza ke baad
jine se na-umid ho kyunkar mariz-e-hijr
hai aasra abhi to dua ka dawa ke baad
mamnun kyon na hun sitam-e-be-hisab ka
qail meri wafa ke hue wo jafa ke baad
waiz kalam-e-saKHt ka niklega ye maal
tarif hum buton ki karenge KHuda ke baad
tazir-e-dost wajh-e-sukun-e-alam hui
'masud' aur jurm karenge KHata ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.