aman mili na kisi ko mila qarar kabhi
amaañ milī na kisī ko milā qarār kabhī
koī bhī apnī zamīñ se na ho farār kabhī
baTe.ge ham bhī qabīloñ meñ ye na sochā thā
milegā ḳhauf-zada aisā regzār kabhī
jo ham-safar haiñ hamāre vo pur-ḳhulūs nahīñ
na rāhbar pe rahā ham ko e'tibār kabhī
yaqīñ na aayā ki sadiyāñ guzār diiñ jis par
us ek shāḳh ko kāTegā apnā yaar kabhī
maiñ chal diyā huuñ ai 'manzar' to is yaqīn ke saath
koī na jā.egā is tarah sū-e-dār kabhī
aman mili na kisi ko mila qarar kabhi
koi bhi apni zamin se na ho farar kabhi
baTege hum bhi qabilon mein ye na socha tha
milega KHauf-zada aisa regzar kabhi
jo ham-safar hain hamare wo pur-KHulus nahin
na rahbar pe raha hum ko e'tibar kabhi
yaqin na aaya ki sadiyan guzar din jis par
us ek shaKH ko kaTega apna yar kabhi
main chal diya hun ai 'manzar' to is yaqin ke sath
koi na jaega is tarah su-e-dar kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.