aman na pai gham-o-fikr se kabhi maine
amaañ na paa.ī ġham-o-fikr se kabhī maiñ ne
isī ghuTan meñ guzārī hai zindagī maiñ ne
kisī ke naqsh-e-qadam pe jhukā ke sar apnā
buland kar liyā me.ār-e-bandagī maiñ nai
ġham-e-hayāt ne baḳhshā shu.ūr jiine kā
isī añdhere se paa.ī hai raushnī maiñ ne
tū ek karb kā dariyā hai aur kuchh bhī nahīñ
tujhe qarīb se dekhā hai zindagī maiñ ne
tufail-e-rahmat-e-ālam muaaf kar mujh ko
mire karīm ḳhatā kī hai vāqa.ī maiñ ne
kisī hasīñ kī amānat samajh ke ai 'nayyar'
gale lagāyā hai ġham ko ḳhushī ḳhushī maiñ ne
aman na pai gham-o-fikr se kabhi main ne
isi ghuTan mein guzari hai zindagi main ne
kisi ke naqsh-e-qadam pe jhuka ke sar apna
buland kar liya mear-e-bandagi main nai
gham-e-hayat ne baKHsha shuur jine ka
isi andhere se pai hai raushni main ne
tu ek karb ka dariya hai aur kuchh bhi nahin
tujhe qarib se dekha hai zindagi main ne
tufail-e-rahmat-e-alam muaf kar mujh ko
mere karim KHata ki hai waqai main ne
kisi hasin ki amanat samajh ke ai 'nayyar'
gale lagaya hai gham ko KHushi KHushi main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.