amanat mein KHayanat ho rahi hai
amānat meñ ḳhayānat ho rahī hai
salīqe se tijārat ho rahī hai
nahīñ mahfūz koī apne ghar meñ
magar ghar kī hifāzat ho rahī hai
sabhī ke ḳhvāb kī ta.abīr ġham hai
to phir kis ko bashārat ho rahī hai
hamīñ ne ḳhuun se sīñchā vatan ko
hamīñ se phir shikāyat ho rahī hai
khaḌe haiñ rahnumā nīlām-ghar meñ
bahut arzāñ siyāsat ho rahī hai
ba-zāhir mil rahe haiñ sab sabhī se
magar andar baġhāvat ho rahī hai
'ġhazal' sachchā.ī to mahñgī paḌegī
tujhe kaise ye aadat ho rahī hai
amanat mein KHayanat ho rahi hai
saliqe se tijarat ho rahi hai
nahin mahfuz koi apne ghar mein
magar ghar ki hifazat ho rahi hai
sabhi ke KHwab ki tabir gham hai
to phir kis ko bashaarat ho rahi hai
hamin ne KHun se sincha watan ko
hamin se phir shikayat ho rahi hai
khaDe hain rahnuma nilam-ghar mein
bahut arzan siyasat ho rahi hai
ba-zahir mil rahe hain sab sabhi se
magar andar baghawat ho rahi hai
'ghazal' sachchai to mahngi paDegi
tujhe kaise ye aadat ho rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.