amawas jis ki fitrat ho kabhi punam nahin hoti
amāvas jis kī fitrat ho kabhī pūnam nahīñ hotī
sharīk-e-zindagī ho kar sharīk-e-ġham nahīñ hotī
ye dil to jā lagā nāgin ke phan pe rakkhe phūloñ se
Dase hai jaan kā ḳhatra kashish bhī kam nahīñ hotī
abhī chāhat kī rāhoñ meñ bahut se moḌ ā.eñge
mohabbat jis ko kahte haiñ kabhī yak-dam nahīñ hotī
maiñ terā kuchh nahīñ phir bhī tirā ho kar jiyā huuñ maiñ
ye kaisī lau vafā kī hai zarā maddham nahīñ hotī
kahāñ ab DhūñDte ho tum kisī tahzīb kī daulat
jahāñ bhī dhuup hākim ho vahāñ shabnam nahīñ hotī
amawas jis ki fitrat ho kabhi punam nahin hoti
sharik-e-zindagi ho kar sharik-e-gham nahin hoti
ye dil to ja laga nagin ke phan pe rakkhe phulon se
Dase hai jaan ka KHatra kashish bhi kam nahin hoti
abhi chahat ki rahon mein bahut se moD aaenge
mohabbat jis ko kahte hain kabhi yak-dam nahin hoti
main tera kuchh nahin phir bhi tera ho kar jiya hun main
ye kaisi lau wafa ki hai zara maddham nahin hoti
kahan ab DhunDte ho tum kisi tahzib ki daulat
jahan bhi dhup hakim ho wahan shabnam nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.