amal achchha nahin us ka jo Darta jae hai mujhse
amal achchhā nahīñ us kā jo Dartā jaa.e hai mujh se
vo kāfir jo ḳhudā ko bhī na sauñpā jaa.e hai mujh se
ye luqma hai ajal kā yā tire hāthoñ kā biiḌā hai
na uglā jaa.e hai mujh se na niglā jaa.e hai mujh se
kabhī himmat-shikan tūfāñ kabhī sāhil kā nazzāra
na Duubā jaa.e hai mujh se na tairā jaa.e hai mujh se
adū ke saath terī dil-lagī bhī ik ajab shai hai
na rokā jaa.e hai mujh se na dekhā jaa.e hai mujh se
kabhī tanhā.ī meñ vo guftugū mujh se lagāvaT kī
sar-e-bāzār mil jaa.e to akḌā jaa.e hai mujh se
vajūd-e-ālam-e-fānī meñ ye āsāniyāñ kaisī
ḳhudā kā ghar hai dil nazdīk hotā jaa.e hai mujh se
agar maiñ dekhtā huuñ is bayābān-e-chaman ko 'shād'
koī manzar achānak duur hotā jaa.e hai mujh se
amal achchha nahin us ka jo Darta jae hai mujh se
wo kafir jo KHuda ko bhi na saunpa jae hai mujh se
ye luqma hai ajal ka ya tere hathon ka biDa hai
na ugla jae hai mujh se na nigla jae hai mujh se
kabhi himmat-shikan tufan kabhi sahil ka nazzara
na Duba jae hai mujh se na taira jae hai mujh se
adu ke sath teri dil-lagi bhi ek ajab shai hai
na roka jae hai mujh se na dekha jae hai mujh se
kabhi tanhai mein wo guftugu mujh se lagawaT ki
sar-e-bazar mil jae to akDa jae hai mujh se
wajud-e-alam-e-fani mein ye aasaniyan kaisi
KHuda ka ghar hai dil nazdik hota jae hai mujh se
agar main dekhta hun is bayaban-e-chaman ko 'shad'
koi manzar achanak dur hota jae hai mujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.