amal se pyar se mohkam yaqin se niklega
amal se pyar se mohkam yaqin se niklega
Ustad Vajahat Husain Khan
MORE BYUstad Vajahat Husain Khan
'amal se pyaar se mohkam yaqīñ se niklegā
ye peḌ vo hai jo banjar zamīñ se niklegā
jahāñ pahuñch ke sabhī thak ke baiTh jaate haiñ
mujhe yaqīñ hai mirā dar vahīñ se niklegā
tū mere sajdoñ ko dīvāngī kā naam na de
ye naqsh vo hai jo merī jabīñ se niklegā
mire junūn kī shiddat ko aap kyā jāneñ
ki āsmān bhī merā zamīñ se niklegā
yahāñ kisī ke chalan par na bad-gumāñ honā
kahīñ se koī to koī kahīñ se niklegā
hai kaun us kā mumāsil vo shaḳhs jaisā hai
majāl kis kī jo us ke qarīñ se niklegā
yūñhī ġhazal ko pilā.ūñgā ḳhūn-e-dil 'dā.em'
na 'aib phir nigah-e-nukta-chīñ se niklegā
'amal se pyar se mohkam yaqin se niklega
ye peD wo hai jo banjar zamin se niklega
jahan pahunch ke sabhi thak ke baiTh jate hain
mujhe yaqin hai mera dar wahin se niklega
tu mere sajdon ko diwangi ka nam na de
ye naqsh wo hai jo meri jabin se niklega
mere junun ki shiddat ko aap kya jaanen
ki aasman bhi mera zamin se niklega
yahan kisi ke chalan par na bad-guman hona
kahin se koi to koi kahin se niklega
hai kaun us ka mumasil wo shaKHs jaisa hai
majal kis ki jo us ke qarin se niklega
yunhi ghazal ko pilaunga KHun-e-dil 'daem'
na 'aib phir nigah-e-nukta-chin se niklega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.