amir-e-shahr ke ban kar wazir baiThe hain
amīr-e-shahr ke ban kar vazīr baiThe haiñ
to kyā vo bech ke apnā zamīr baiThe haiñ
qalandaroñ kī ye 'azmat karam ḳhudā kā hai
faqīr-e-shahr ke dar par amiir baiThe haiñ
haiñ pattharoñ se pareshān machhliyāñ saarī
nadī kināre jo bachche sharīr baiThe haiñ
nigāh-e-nāz ne dil terā intiḳhāb kiyā
hadaf banā.e kamāñ meñ vo tiir baiThe haiñ
fasīl-e-'ishq meñ be-shak darār aa.egī
anā kī khīñch ke donoñ lakīr baiThe haiñ
hasad kī aag meñ jalne lage raqīb tamām
jo rū-barū mire vo be-nazīr baiThe haiñ
tirī nigāh ne chheḌā koī fasāna kyā
qalam ko toḌ ke jo sab 'dabīr' baiThe haiñ
rafīq-e-vaqt meñ vo sāhib-e-ḳhulūs kahāñ
mafād-e-hirs-o-havas haiñ haqīr baiThe haiñ
tire ḳhulūs ko 'shādāb' kyā vo samjheñge
jo ho ke apnī anā ke asiir baiThe haiñ
amir-e-shahr ke ban kar wazir baiThe hain
to kya wo bech ke apna zamir baiThe hain
qalandaron ki ye 'azmat karam KHuda ka hai
faqir-e-shahr ke dar par amir baiThe hain
hain pattharon se pareshan machhliyan sari
nadi kinare jo bachche sharir baiThe hain
nigah-e-naz ne dil tera intiKHab kiya
hadaf banae kaman mein wo tir baiThe hain
fasil-e-'ishq mein be-shak darar aaegi
ana ki khinch ke donon lakir baiThe hain
hasad ki aag mein jalne lage raqib tamam
jo ru-baru mere wo be-nazir baiThe hain
teri nigah ne chheDa koi fasana kya
qalam ko toD ke jo sab 'dabir' baiThe hain
rafiq-e-waqt mein wo sahib-e-KHulus kahan
mafad-e-hirs-o-hawas hain haqir baiThe hain
tere KHulus ko 'shadab' kya wo samjhenge
jo ho ke apni ana ke asir baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.