amir-e-shahr ko jhuk kar salam karte rahe
amīr-e-shahr ko jhuk kar salām karte rahe
tamām umr ġhulāmī ġhulām karte rahe
guzar ga.e haiñ isī tarah dhuup chhāñv ke din
jo kaam karne the ham to vo kaam karte rahe
añdherī raat ke chehre kā sar qalam kar ke
ham apne ghar meñ ujāle tamām karte rahe
tujhe to ham ne ka.ī zāviyoñ se parkhā hai
isī liye to tirā ehtirām karte rahe
yahī nahīñ ki faqat ham ne tujh ko yaad kiyā
ġhazal ke sher bhī ham tere naam karte rahe
amir-e-shahr ko jhuk kar salam karte rahe
tamam umr ghulami ghulam karte rahe
guzar gae hain isi tarah dhup chhanw ke din
jo kaam karne the hum to wo kaam karte rahe
andheri raat ke chehre ka sar qalam kar ke
hum apne ghar mein ujale tamam karte rahe
tujhe to hum ne kai zawiyon se parkha hai
isi liye to tera ehtiram karte rahe
yahi nahin ki faqat hum ne tujh ko yaad kiya
ghazal ke sher bhi hum tere nam karte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.