amiri hai na wo aalam-panahi
amīrī hai na vo ālam-panāhī
faqīroñ kī vahī hai kaj-kulāhī
tabassum aa gayā un ke laboñ par
mujhe raas aa ga.ī apnī tabāhī
kisī kā naam le kar chal diye haiñ
na pūchho ham haiñ kis manzil ke raahī
kahīñ ifshā na kar de rāz-e-ulfat
sar-e-mahfil kisī kī kam-nigāhī
kisī din rang lā.egī jahāñ meñ
gunah-gārān-e-ġham kī be-gunāhī
nasheman ke ujaḌne kā nahīñ ġham
na dekhūñ maiñ gulistāñ kī tabāhī
zamāne meñ hue mash.hūr donoñ
kisī kā zulm merī be-gunāhī
kahīñ roke se ruk saktī hai 'shāriq'
jo likkhī hai muqaddar meñ tabāhī
amiri hai na wo aalam-panahi
faqiron ki wahi hai kaj-kulahi
tabassum aa gaya un ke labon par
mujhe ras aa gai apni tabahi
kisi ka nam le kar chal diye hain
na puchho hum hain kis manzil ke rahi
kahin ifsha na kar de raaz-e-ulfat
sar-e-mahfil kisi ki kam-nigahi
kisi din rang laegi jahan mein
gunah-garan-e-gham ki be-gunahi
nasheman ke ujaDne ka nahin gham
na dekhun main gulistan ki tabahi
zamane mein hue mashhur donon
kisi ka zulm meri be-gunahi
kahin roke se ruk sakti hai 'shaariq'
jo likkhi hai muqaddar mein tabahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.