amiron ke bure atwar ko jo Thik samjhe hai
amīroñ ke bure atvār ko jo Thiik samjhe hai
mirī haq baat ko vo qābil-e-tashkīk samjhe hai
bahut mushkil hai jo us kī ġharībī duur ho jaa.e
'ajab ḳhuddār hai imdād ko bhī bhiik samjhe hai
mire baare meñ us ke kaan bhartā hai koī shāyad
bayāñ tausīf kartā huuñ to vo taz.hīk samjhe hai
tire ḳhat terī tasvīreñ shikasta-dil ke kuchh TukḌe
tirā dīvāna in sab ko tirī tamlīk samjhe hai
maiñ us ke har gumāñ kā paas aksar rakkhā kartā huuñ
mirā dil apne dil ke vo bahut nazdīk samjhe hai
chale hai is tarah jaise chale talvār par koī
vo merī rahguzar ko jaane kyuuñ bārīk samjhe hai
siyāsat ke añdheroñ ne ujāle sab nigal Daale
ġharīb insān din ko bhī shab-e-tārīk samjhe hai
amiron ke bure atwar ko jo Thik samjhe hai
meri haq baat ko wo qabil-e-tashkik samjhe hai
bahut mushkil hai jo us ki gharibi dur ho jae
'ajab KHuddar hai imdad ko bhi bhik samjhe hai
mere bare mein us ke kan bharta hai koi shayad
bayan tausif karta hun to wo tazhik samjhe hai
tere KHat teri taswiren shikasta-dil ke kuchh TukDe
tera diwana in sab ko teri tamlik samjhe hai
main us ke har guman ka pas aksar rakkha karta hun
mera dil apne dil ke wo bahut nazdik samjhe hai
chale hai is tarah jaise chale talwar par koi
wo meri rahguzar ko jaane kyun barik samjhe hai
siyasat ke andheron ne ujale sab nigal Dale
gharib insan din ko bhi shab-e-tarik samjhe hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.