amiron ke jo lahje bolte hain
amīroñ ke jo lahje bolte haiñ
ġharīboñ ke bhī chehre bolte haiñ
baḌā māyūs saa.il kah rahā thā
yahāñ ke log kaise bolte haiñ
hameñ kam log samjheñge yahāñ par
zarā sā ham jo haT ke bolte haiñ
bahut hī bad-zabānī hai yahāñ par
magar kuchh log achchhe bolte haiñ
isī bastī meñ rahnā hai hameñ to
jahāñ bhūtoñ ke saa.e bolte haiñ
'nazar' meñ ab mirī manzar yahī hai
suneñ bahre jo gūñge bolte haiñ
amiron ke jo lahje bolte hain
gharibon ke bhi chehre bolte hain
baDa mayus sail kah raha tha
yahan ke log kaise bolte hain
hamein kam log samjhenge yahan par
zara sa hum jo haT ke bolte hain
bahut hi bad-zabani hai yahan par
magar kuchh log achchhe bolte hain
isi basti mein rahna hai hamein to
jahan bhuton ke sae bolte hain
'nazar' mein ab meri manzar yahi hai
sunen bahre jo gunge bolte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.