amiron ke lal-o-gohar bolte hain
amīroñ ke la.al-o-gohar bolte haiñ
ġharīboñ ke ilm-o-hunar bolte haiñ
ġham-e-hijr kī ik kahānī tirā ḳhat
likhāvaT ke zer-o-zabar bolte haiñ
namāzī bano gar mohabbat hai mujh se
hadīsoñ meñ ḳhairul-bashar bolte haiñ
jinheñ ilm-o-fan par takabbur nahīñ hai
vahī aadmī muḳhtasar bolte haiñ
azaañ ho rahī hai mirī samt aao
masājid ke dīvār-o-dar bolte haiñ
'sahar' narm lahje kā andāz chhoḌo
yahāñ sirf teġh-o-tabar bolte haiñ
amiron ke lal-o-gohar bolte hain
gharibon ke ilm-o-hunar bolte hain
gham-e-hijr ki ek kahani tera KHat
likhawaT ke zer-o-zabar bolte hain
namazi bano gar mohabbat hai mujh se
hadison mein KHairul-bashar bolte hain
jinhen ilm-o-fan par takabbur nahin hai
wahi aadmi muKHtasar bolte hain
azan ho rahi hai meri samt aao
masajid ke diwar-o-dar bolte hain
'sahar' narm lahje ka andaz chhoDo
yahan sirf tegh-o-tabar bolte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.