amn ki KHatir jangi manzar dafn kiya
amn kī ḳhātir jangī manzar dafn kiyā
maiñ ne shīsha us ne patthar dafn kiyā
pahle ek dabā.ī file yādoñ kī
rafta rafta saarā daftar dafn kiyā
nanhe phuul kā bojh hī kitnā hotā hai
lekin saare shahr ne mil kar dafn kiyā
merī āñkheñ banjar hone vaalī thiiñ
un meñ jab kal raat samundar dafn kiyā
pahle qabr banā.ī saare ḳhvāboñ kī
āñkhoñ ko phir us ke barābar dafn kiyā
ham sā saada hogā kaun zamāne meñ
kamtar ko apnāyā behtar dafn kiyā
ziist kā dūsrā manzar dekhne kī ḳhātir
jaldī jaldī pahlā manzar dafn kiyā
itne ham shaffāf 'jamīl' hue Dar kar
ek lahad meñ andar bāhar dafn kiyā
amn ki KHatir jangi manzar dafn kiya
main ne shisha us ne patthar dafn kiya
pahle ek dabai file yaadon ki
rafta rafta sara daftar dafn kiya
nanhe phul ka bojh hi kitna hota hai
lekin sare shahr ne mil kar dafn kiya
meri aankhen banjar hone wali thin
un mein jab kal raat samundar dafn kiya
pahle qabr banai sare KHwabon ki
aankhon ko phir us ke barabar dafn kiya
hum sa sada hoga kaun zamane mein
kamtar ko apnaya behtar dafn kiya
zist ka dusra manzar dekhne ki KHatir
jaldi jaldi pahla manzar dafn kiya
itne hum shaffaf 'jamil' hue Dar kar
ek lahad mein andar bahar dafn kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.